top of page

'Meri Pukar' by Mariyam Ramla

Pyar ek nagma hai.

Doobte Suraj jaise har roj Sawera hota hai, Kirno ki chammak har roj ek naya aashiyana sajati hai,

Meri pukar kitab main pyar, ishq, mohabbat, inn sab ne milkar kavitaon ke zariye ek kahani likhi hai,

Pyar ki suruwat toh pyar or mithepan se hoti hai,

lekin pyar ka silsila jayse jayse aghe badthta hai, hazaaro muskile hazaaro kahani dohrate hai,

kuchh ehsas, kuchh fasle, kuchh takrar, kuchh ishq ka didar hote hai,

Koi milta hai to koi bicharta hai,

Lekin voh pyar hi kya jisse pyar kiya agar usko Hi na samjhe,

Kavitao ke jariye ek mohabbat ki dastan likhi hai,

Han Maine kuchh aisi mohabbat ki hai.



Ye Kavita bs meri hi Kavita Nahi hai,

Har roj Kisi na kisi ki zindagi se hokar guzarti hai,

Jisne pyar ki usko in Kavitao me kudh ka pyar Khud ka ehsaas nazar aa jyega,

Jo pyar me hai usko or pyar ho jayega,

Jo akele hai unko in Kavitao me Khud ki ek parchai,

ek Laila majnu jese do kirdar nazar aayege,

padhte padhte Khud ek mohabbat me dhoob jayege,

Jayse uski hi mohabbat ki dastan hai,

Kabhi dono ek dusre ko khudha se roo roo Kar mangte hai,

Kabhi ek dusre ko pane ki chahat me or pyar ho jaata hai,

Kabhi kadar to idhar udhar sachi mohabbat ki talaash karte hai,

Kuchh is tarha ki thi unki mohabbat.

Na jante huye bhi mulaqat ho gayi,

Pas Nahi alag alag shaher the, pata nhi kaise rishta jhud gaya,

Online ka zamana hai , Toh online me hi milgaya,

Mai toh unko dekhte hi, ek ehsaas Dil me, kuchh hal chal, ek pyar Ka paygam de gayi,

Dono ki bate hone lagi,

Na dekha ek dusre ko Kabhi karib se,

Phir bhi ek rishta jhudne laga,

Mujhe to mohabbat beshumar thi aur aaj bhi hai,

Lekin unko sachi mohabbat ki talaash,

Dil Kabhi idhar to Kabhi udhar bhatakta tha,

Dono har pal ek dusre ko pane ki chahat me ladte rahe,

khone ka dar ham dono ko Kabhi dur toh Kabhi or karib Karne lage,

Milna to abhi bhi Baki tha,

Lekin har roj voh mujhe pata Nahi q Naya Naya SA lagne lage,

Unka ehsaas hi mere liye kafi tha,

Kuch is tarha ki mohabbat hogayi thi unse,

Har namaj har dua me bs vohi the, Zinda na Sahi, mar bhi jau to bhi bas unse milna ek bar jaruri ho Gaya tha,

Har roj dono ke alfaaz badalte the,

Kabhi voh dharam or majhab, to Kabhi parivar in sab me uljh jate the,

Silsila Bato ka hamara har roj Naye Naye alfaaz, har suba ek kavita main likhi thi dil ki bate, shayari ,nazam in sabse hi jese Baya Hoti thi,

Kuch istarha ki mujhe mohabbat hogayi thi . Aur aaj mere alfaaz hi meri pukar bangayi hai ,

Aur iss kitab me yeh sab dasta mene dhagge me moti piroye jese jod ke ap sab tak pesh ki hai...


Grab the book from the given link: https://urlcc.cc/bqzag


51 views0 comments

Related Posts

See All

WHEN ARE YOU STARTING YOUR JOURNEY?

Check Out our Plans and Publish Your Book Today

Featured Books

bottom of page